twitter

Haakim-e-shehar bata !
Waqt kay shikanjon nay
Khuwahishon kay phulon ko
Noch noch torra hai.......kiya yeh zulm thora hai?
Dard ke jazeeron nay
Aarzoo ke jeewan ko
Maqbaron main dala hai
Zulmaton ke dairay hain.....log sab lutairay hain
Maut rooth baithi hai
Zaat raiza raiza hai
Zindagi tere hathon
Paaimaal hai janaan......ik sawaaal hai janaaan!
Kaisay maan loon jeewan?
Saans hi nahin koi
Karb karb lamhay yeh
Baar baar dastay hain......log hum pe hanstay hain
Taar taar Aanchal hai
Dard dard jeewan hai
Shabnami si palkain hain

Qurb hai na doori hai .... Zindagi adhooori hai
Ab yaqeeen aaya hai .... Maut bhi zaroori hai...!

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: