twitter

Main sham yadon kay janglon say guzarta hoon, keh kuch likhoon ga
Yeh sheher sara hi so chukka hai main jagta hoon keh kuch likhoon ga

Bahar ruk kay wo khwab saray jo meri palkon pe aar sajay thay
Wo khwab ankhon main jul chukay hain main jul raha hoon keh kuch likhoon ga

Is pichlay mosmon ki barishon ko phir apni aankhon main la raha hoon
Keh ab key sawan ki rum main, main bhi yeh sochta hoon keh kuch likhoon ga

Ajab rut hai judaiyon ki, azaab din hain azaab retain
Main chund sehel say lafz likh ker yeh sochta hoon keh kuch likhoon ga

Main lafz palkon kay chun raha hoon, main khwab kaghaz pe bun raha hoon
Main teri aahat bhi sun raha hoon main janta hoon keh kuch likhoon ga

Wo saray rastay keh jin pe hum tum chalay thay chahat kay sung Aatif
Main ab jo un per kabhi gaya to yeh janta hoon keh kuch likhoon ga

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: