twitter

Agar guftagu ka aghaaz mein karta
Jharaktee bigartee magar maan jaati


Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paaon patakhtee magar maan jaati


Agar chaand kaliyaan usay paish karta
Woh daman jhataktee magar maan jaati


Mein kehta "chalo tum ko ghuma kar laoon"
Akartee jhijhaktee magar maan jaati


Jo mein barhta usko galay sey laganey
jhi-jhakti simattii magar maan jaati


Jo mein husan key us kay tareef karta
Woh baahen jhataktee magar maan jaati


Woh meri shokh batoon par khamosh rehti
Dopatta kutertee magar maan jaati


Jo mein us ko taktaa. zameen ko woh takti
Anguthaa ragarrti magar maan jaati


Jo peechay say aanchal ka phanda banata
Bohat tilmilaati magar maan jaati


Woh ghussay may jo mujh say naraaz hoti
Bikharti tarapti magar maan jaati


Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palatti magar maan jaati


Jo kehta keh "rahon pe chaliye sambhaal kar"
Uchaalti matakti magar maan jaati

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: