twitter

Mohabbat Rang Badaltii hai
Aur Us Ka Koii Bhi Rang
Mustaqil Pukhta Nahe Hota
Naveed e Sehar Kii koii
Daleel e Be-Traan Jaisey
Kisi Mushkil Safar Mein
Qaafila Eik Be-Amaan Jaisey
Kabhi Hairaan Sey Lehjey
Koi Dil Bad-Gumaan Jaisey
Jhulastii Dhoop Ka Saaya
Shajar Meharbaan Jaisey
Kabhi Na Rukney Wala Zindgi Ka Karwaan Jaisey
Koii Rangeen Sii
Sangeen Sii
Eik Dastaan jAisey
Mohabbat Ibtada Mein Baal Kholey Muskuraati Hai
Kabhi Har Nazam Mein
Har Shair Mein
Har Ista’aarey Mein
Ghataaon Ki Tarah
Ghir Ghir Key Aatii Hai Aur Barastii Hai
Kabhi Sehra Kii Maanind
Chund Boondon Ko Trasti Hai
Kabhi Eik Bulbuley Kii Trah
Pal do Pal Ko Hastii Hai
Kabhi Sadiyon Talak
Dil Key Nehaa Khaanon Mein BaStii Hai
Kabhi Khird Key Andaishey
Kabhi Eik Josh e Mastii Hai
Kabhi Hans Hans Key Rotii Hai
Kabhi Ro Ro Key Hanstii Ha
Mohabbat Aadmii Ki Zindgii Ka Dhung Badaltii Hai
Magar Khud Rang Badaltii Hai

Wednesday, December 12, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: