twitter

Bujh Rahey Thay Diye Gir Rahay Thay Shajjar, Log Hanstay Rahay
Doobta Jaa Raha Thaa Kisi Ka Nagar, Log Hanstay Rahay

Apnay Khwaboon Ke Raizay Sametay Huwey Mein Terey Shehar Men
Jis Gali Se Bhi Guzra Har Ik Morh Per, Log Hanstay Rahay

Teri Yaadon Ka Ik Kaarwaan Har Qadam Merey Hamraah Thaa
Meri Tanhaeyoon Pe Magar Bekhabar, Log Hanstay Rahay

Phir Wohi Saaneha Kal Zameeen Per Huwa, Baarishoon Ke Khuda
Jhonpra Jal Raha Thaa Kisi Ka Magar, Log Hanstay Rahay

Us Ke Naazuk Murjhaaye Huwey Haathoon Men Mehndi Sulaghti Rahi
Aur Khushiyaan Manaatey Huwey Raat Bhar, Log Hanstay Rahay

Us ke Gham Men Sissakti Rahi Zard Patton Men Chup Ke Hawa
Jis Ke Hontoo Pe Pheeki Hansi Dekh Kar, Log Hanstay Rahay

Likh Ke Naam Us Ka Ghar Ki Har Ik Cheez Par Hum Sajaatay Rahay
Dekh Ke Ghar Ke Javed, Deewaar-O-Dar, Log Hanstay Rahay

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: