twitter

Kyun khalwat e gham mein rehtey ho, kyun gosha nasheen bekaar huay
Aakhir tumhien sadma kya pohoncha, kya soch key khud aazaar huay

Kyun saaf kushada rastoun par tum thokarien khaatey phirtey ho
Kyun teera o taar sii galiyon mein tum aa key khush-raftaar huay

Kyun rasta chor key chaltey ho, kyun logon sey katraatey ho
Kyun chaltey phirtey apney liye tum aap hii eik dewaar huay

Kya uth-tey baith-tey sochtey ho, kya likhtey parhtey rehtey ho
Iss umar mein yeh be-kaiffi kyun, kis wastey naik atwaar huay

Kyun aisey safar pey nikley ho manzil nahi jis ki koii bhii
Kyun raah rey aisey chaltey ho, saaye bhii jahaan dewaar huay

Kyun tark e alaaiq ko tum ney samjha hai ilaaj e gham aakhir
Dekho to Walli Suffi bhi yahaan kis thaath key dunya daar huay

Mayusii e paiham sey tum ney yarana yeh kaisa gantha hai
Andoh o alam they jitney bhii aakhir woh galey ka haar huay

Kab subah key naalay kaam aaye, kya girya e neem shabii sey milla
Is qarya e khwaab e faroshaan mein tum kis liye bedaar huay

Be-kaar ulajhtey rehtey ho kyun ultii seedhii baton mein
Yeh marhaley vasl o hijjraan key ab aisey bhi kyun dushwaar huay

Us koochey kii raah to samjho js koochey mein jana mushkil hai
Us shakhs ka naam to batlao tum jis key liye bemaar huay

Sad shuker k khush asloobii sey takmeel ko pohnchii ruswaii
Mohtaaj e dua thay jo khud hii aakhir wo meray gham khwaar huay

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: