twitter

Guzray lamhon ki uljhi hui dor kay us taraf
Khwab meray jahan dafan mitti main thay
Barishon nay wahan ghaas itni uga di
Koi rah-numa si alamat, nishani koi, kuch bacha hi nahin,
kuch bacha hi nahin keh kisi yaad ki
Koi uljhi hui ik girah kholtay
Woh sira dhoondtay!
Aik bhaidon bara aur zamanon per phaila hua
Woh sira dhoondtay!
Jo kaheen khwab aur us ki tabeer kay dermiya kho gaya

Ho chuki hain bohot hijr ki barishain
Din bohot ja chukay!
Khwab meray jahan dafan mitti main hain
Ab wahan her taraf ghas hi ghas hai
Aur us ghas main sirsarata hua
Saamp sa ik dar hai
Kaheen yeh na ho!
Dhoondtay dhoondtay woh sira mil bhi jaye!
Woh girah khul hi jaye!
To lamhon ki uljhi hui dor kay us taraf
Kuch na ho ..... !!!

Wednesday, December 12, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: