twitter

Kaho To Lout Jatey Hain
Abhi To Baat Lamhoun Tak Hai Saaloun Tak Nahi Aaii
Abhi Muskanoun Kii Nobat Bhi Na’aloun Tak Nahi Aaii
Abhi To Koii Majboorii Khyaloun Tak Nahi Aaii
Abhi To Gard Pairoun Tak Hai Baaloun Tak Nahi Aaii

Kaho To Lout Jatey Hain
Chalo Eik Faisla Karney Shajar Kii Oar Jatey Hain

Abhi Kajal Kii Dourii Surkh Galoun Tak Nahi Aaii
Zubaan Dantoun Talak Hai Zehar Pyaloun Tak Nahi Aaii
Abhi To Mushk E Kastoorii Ghazaloun Tak Nahi Aaii
Abhi Roodad E Be-Unwaan Humarey Darmiyaan Hai
Dunya Walloun Ta Nahi Aii
Kaho To Lout Jatey Hain

Abhi Nazdeek Hain Ghar Aur Manzil Door Hai Apni
Mabada Naar Ho Jaye Yeh Hastii Noor Hai Apni
Kho To Lout Jatey Hain

Yeh Rasta Pyar Ka Rasta
Rasan Ka Daar Ka Rasta
Bohet Dushwaar Hai Janaa
K Is Rastey Ka Har Zara Bhi Eik Kohsaar Hai Janaa
Kho To Lout Jatey Hain

Meray Barey Na Kuch Socho
Mujhey To Sath Tumharey Amer Honey Kii Hasrat Hai
Mujhey Teh Karna Aata Hai Rasan Ka Daar Ka Rasta
Yeh Aasiboun Bhara Rasta Yeh Andhi Khaar Ka Rasta

Tumhara Narm O Nazuk Haath Ho Agar Meray Hathoun Mein
To Main Samjhon K Jaisey Do Jhaan Hain Meri Muthii Mein
Tumhara Kurb Ho To Mushkilien Kafoor Ho Jaien
Yeh Andhay Aur Kaaley Raastey Pur-Noor Ho Jaien
Tumhare Gaisooun Ki Chaon Mil Jaye To Sooraj Sey Ulajhna Baat Hi Kya Hai
Utha Lo Apna Saya To Meri Auqaat Hii Kya Hai
Mujhe Maloom Hai Itna K Daiyem Zindgi Posheeda Hai In Chaar Qadmon Mein
Bohet Sii Raahatien Muzmir Hain In Dushwaar Rastoun Mein

Meray Barey Na Kuch Socho
Tum Apni Baat Batlao
Kho To Chaltey Rehtey Hain
Kaho To Lout Jatey Hain

Wednesday, December 12, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: