twitter

Kaha saathi koi dukh dard ka tayyar kerna hai
Jawab aaya keh yeh darya akailay paar kerna hai

Kaha her raasta bakhsha hai kyun na hamwar mujh ko
Jawab aaya her rasta tujhay hamwar kerna hai

Kaha kyun samnay chamka diya itna bara sooraj
Jawab aaya hamain saye main deewar kerna hai

Kaha lafzon say phoolon ki mehek aanay lagi kesay
Jawab aaya mohabbat ka tukjay izhar kerna hai

Kaha mujh ko banaya hai tu yeh doosray kyun hain
Jawab aaya keh tujh ko doosron say pyar kerna hai

Kaha main laadla tera hoon main mitti main kyun utroon
Jawab aaya keh sub ko yeh samandar paar kerna hai

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: