twitter

Kaha bhi tha
Keh manzar to achanak hi badalta hai
Kaha bhi tha
Keh mausam to achanak hi badalta hai
Bataya tha keh pusti ka safar aaghaz ho jaye
To kitni ki bulandi ho
Ya mansab-e-jah-o-hasti ho
Bus aik hi lamhay main
Haan bus aik hi lamhay main sub hi kuch
Is tarha say khatam ho jata hai
Keh jesay aag pani say
Keh jesay koi shehzada nikal jaye kahani say
Kaha bhi tha keh hamari baat ko bayshuk tum na mano
Magar kul tum hi mano gay
Bataya tha keh charagh aandhi say bujh jain
To aankhon main diye kuch timtimaatay hain
Sitaray maand per jain to sooraj khud nikalta hai
Koi mun-zor girta hai
Koi gir ker sambhalta hai
Kaha bhi tha keh her manzar ka pus-manzar bhi hota hai
Gur deewar bun jaye to us main dar bhi hota hai
Kaha bhi tha keh her mausam kay daaman main
Naye mausam bhi to hotay hain
Jahan koi nahin hota wahan per hum to hotay hain
Bataya tha keh her aaghaz ka jis mor per anjaam hota hai
Usi anjaam say aik raasta aagay nikalta hai
Wahaeen manzar badalta hai

Sunday, December 9, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: