twitter

Bana gulaab to kantay chubha gaya ik shakhs
Hua charagh to ghar hi jala gaya ik shakhs

Main kis hawa main uroon kis faza main lehraon
Dukhon k jaal har ik soo bichaa gaya ik shakhs

Tamam rang mere aur saray khawab mere
fasana thay k fasana bana gaya ik shakhs

Palat sakun bhi, na agay hi barh sakun jis par
Mujhay ye konsay rastay laga gaya ik shakhs

Mohabbatain bhi ajab, uski nafratain bhi kamal
Meri hi tarah ka mujh main sama gaya ik shakhs

Wo mahtaab tha, marham badast aya tha
Magar kuch aur siwa dil dukha gaya ik shakhs

Mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha usay
Milay wo zakhm k phir yaad aa gaya ik shakhs

khula ye raaz k ayena khana hai dunya
Aur us main mujhko tamasha bana gay aik shakhs

Tuesday, December 11, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: