twitter

Mohabbat Aag Hai To Phir
Meri Rug Rug Mein Bharki Hai
Meri Aankhien Hain Ik Shola Meri Saansien Hain Ik Agan
Alaao Teri Yaadon Ka Meray Dil Mein Kahien Roshan
Mujhey Ab Fikr Hai Koi Na Koi Gharz Hai Is Sey
Keh Teri Yaad Mein Shab Bhar
Wafa Ka Naam Ley Ley Kar
Kahien Hum Khud Hi Jaltay Hain Ya Key Deep Jaltay Hain

Mohabbat Yaad Hai To Phir
Meray Dil Mein Hai Yun Raqsaan
Keh Hum Ko Fikr Hai Koi Na Hi Hosh Hai Baaqi
Faqat Ik Yaad Hai Baaqi
Jo Dil Ki Baanjh Dharti Par Ashkon Key Sang Baras Jaaye
To Phir Barsat Ki Ley Mein
Kahien Eik Phool Khilta Hai
Hum Us Phool Ki Khusboo Tumharay Naam Kartay Hain
Tumhari Yaad Mein Aksar Subah Se Shaam Kartay Hain

Mohabbat Gar Samandar Hai
To Phir Meri Wafaaon Key
Sabhi Gohar O Sadaf Us Kii Gehraaiyon Mein Bastay Hain
Keh Meray Dil Mein Phaila Hai
Ajab Chahat Ka Yeh Sagar
Haan Jis Ki Aakhri Had Sey
Sabhi Thehray Sey Jazbon Ko Yon Hum-Kinaar Karna Hai
Mila Kar Aankh Ka Dariya Is Behar E Kinaar Ko
Be-Kinaar Karna Hai

Mohabbat Dasht Hai Koi
To Phir Pairon Mein Ab Meray
Nahi Hain Larzishien Baaqi
Meray Pairon Sey Uljhay Hain Jo Yeh Rastay Sab Hi
Mujhey Teray Shoq E Junoon Mein
Eik Safar La-Haq Hai
Keh Jis Key Mor Par Aakhir Mujhey Bhatak Hi Jana Hai
Aur Yon Hum Aik Tasalsul Sey Teri Janib Rawaan
Is Aik Musalsal Safari Key Bus Ghubaar O Gard Hi Thehray
Keh Hum Sey Khaaksaar To Sehra Nord Hi Thehray

Mohabbat Gar Hai Koii Khusboo
To Phir
Hum Sar Khushi Key Eik Numayaan Dairay Mein Hain
Keh Jis Kay Gird Phaili Yeh Teray Lams Ki Mehkaar
Meri Saanson Mein Shamil Hai
Meray Dil Sey Nigaahon Tak Kai Aarasta Rastay
Teri Hi Simat Aatay Hain
Suhaanay Geet Gaatay Hain
Mujhey Teri Chahat Mein Yun In Ka Saath Hasil Hai
Keh Mujh Par Ab Nahi Zaahir
Manzil Hai Meri Khusboo
Keh Khushboo Hi Manzil Hai

Mohabbat Khwaab Hai Koi
To Phir Khwabeeda Yeh Aankhien
Kai Neendon Key Eik Gehray Hisaar E Sehar Mein Hain Qaid
Meri Palkon Pey Hain Baithay Kai Hi Un Ginat Sapnay
Keh Jin Ki Mazilon Key Ab Amen Tumhi To Ho Thehray
Humari Khwaab Nagri Key Makeen Tum Hi To Ho Thehray
So Is Ehad E Mohabbat Mein
Nahi Ab Dar Koi La-Haq
Muqaabil Aandhiyon Key
In Roshan Sab Chiraghon Ki Ab Tabeer Ho Jaisey

Mohabbat Gar Fasana Hai To Phir
Inkaar Hai Hum Ko
Keh Meri Aankh Mein Roshan Tumharay Naam Key Jugnoo
Meray Dil Mein Drakhshaan Sab Tumhari Yaad Key Pehloo
Meri Sochon Pey Haavi Wo Tumharay Qurb Ki Khusboo
Meray Jazbon Ki Suchai Wafaaon Key Rang O Lahoo
Koi Farzi Kahaani Hai
Na Hi Afsana Koi

Mohabbat Aaiyena Soorat
Keh Jis Mein Sabt Hoo Ba Hoo Eik Ask E Haqeeqat Hai
Mohabbat To Mohabbat Hai
Kabhi Dasht O Samandar Hai Kabhi Aag Ki Soorat
Kabhi Yaadon Ki Khusboo Kabhi Khwaab Ki Soorat
Magar Ab Raas Hai Hum Ko
Mohabbat Key Sabhi Mousam Mohabbat Ki Har Eik Soorat
Keh Sab Mansoob Hain Tujh Sey
Mohabbat Key Haseen Rastay , Mohabbat Key Sabhi Dariya

Teri Jaanib Rawaan Hain Yun
Keh Chahat Key Sabhi Mousam
Kisi Eik Khaas Nuqtay Par Khud Mein Gum Ho Jaaien
Sarapa E Tum Ho Jaaien
Mohabbat Tum Hi Thehray
Mohabbat Gar Tum Hii Thehray
To Phir Raahon Mein Haaiyl In
Bichray Sab ii Barson Ki Qasam Hai Meray Jazbon Ko
Keh Wo Tajdeed Kar Daalien Faqt Itna Hi Keh Daalien
“Keh Kal Bhi Dast E Ulfat Ko Eik Matloob Tum Hi Thay
Ab Bhi Meray Lafzon Sey Bas Maqsood Tum Hi Ho ”
Kal Bhi Tum Sey Thi Poori
Meri Be-Had Andhoori Zaat
Abhi Bhi Meray Jewan Ki
Bas Eik Hi Zaroorat Hai
Humien Iqraar Tha Kal Bhi
Humien Iqraar Hai Ab Bhi
Humien Tum Sey Mohabbat Thi
Humien Tum Sey Mohabbat Hai

Sunday, December 9, 2007 | 1 comments | Labels:

1 comments:

  1. Unknown
    December 11, 2007 at 2:56 AM

    kiya kahoon kay lafz kuch kamm say parr gayay hain
    jazbaat ka ikk laa matnaahi silsilaa hay
    shuak hay kay ikk asp e moonh zore ki maanind
    kaaash kay woh lafzz kaheen sy dhoond lataa
    jo teray husn e lazaawaal ki nazar kartaa
    jo teri chah ki shayaan e shaan hotay
    jo teri baytaabiyooon ko karaar day paatay
    jo meri baat ko taa dumm seher chalaa paatay
    kassh kay kuch aisaa kah paataa
    jo teri zaaat ko hisaaar main laitaa
    janaay kabb takk isse tarhaa teray hisar main kaid rahoon gaa
    kuch baatain dil main hain jo abhi kah nahin paoon gaa
    kuch batain aisee hain jo sambhaal rakhe hain
    unn lmhaat kay waastay jo hasil hain meary rat jagon kaaa
    woh lamhaat jinn main tumm bustee ho meray shub o roze kay her pall