twitter

Hijr kay maahtab, sun

Hum bhi hain teray hum safar
Hum say bhi koi baat kar
Hum tou teray rafeeq hain
Hum saye na ijtinaab kar

Dasht-e-faraaq-e-yaar mein
Azlon kay hum-rakaab sun
Hijr kay maahtab, sun

Bakht mein jab na chain ho

Waqt se kia gila karein
Us se kahan mila karein
Raah mein us ko rok lein
Kaise ye hosla karein

Tu tou hamaray saath chal
Tu tou hamaray khawaab sun
Hijr kay maahtab, sun...

Wednesday, December 12, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: