twitter

Suno naraz ho hum say
Magar hum khud woh hain jin ko
Manana bhi nahin aata
Kisi sey kabhi hum ney mohabbat jo nahin kii hai
Mohabbat kis tarah hotii hai
Humarey shehar key itraaf mein to pehra tha sakht khizaon ka
Is shehar e preshaan kii faseelien ladii thi zard bailon say
In mein na to khushboo thi
Na koii phool tum jaisa
Keh mehak uthey humaray deed o dil jis kii khushboo say
Hum is shehar kii veraan galiyon main
Ik Sookhey huay pattey kii manind thay
Keh zalim hawa jab hum par apney qadam rakhti
To us key paaoun key neechey humara dum nikal jatta
Magar suna hai
Pat-jhar ka wo mausam tal chuka ab to
Magar jo haar hona thii so woh ho chuki hum say
Suno
Haarey huay logon say yun rootha nahi kartey

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: