twitter

Mujh main rehnay ki khatir tum aaye
Is say pehlay keh main derwaza kholoon, kuch boloon
Afwaahon ki gard main liptay
Zeher alood mohabbat naamay liye huay tum
Udhray huay rishton kay jaalay siye huay tum
Mujh main aan samaaye
Main rehnay kay liye bana hoon
Jo bhi aaye mujh main reh jaye
Mujhay sajaye
Jitna pyar karay utna sukh paaye
Tum say pehlay bhi kuch log yunhi aaye thay
Apnay andar mujh main tabdeeli kay khuab saja laye thay
Aur phir jis nay bhi jo ehd kia wo tor dia
Jis nay bhi jo baat ki wo rud ker di
Lekin tum nay to hud ker di
Meray din weeran huay hain
Meri subh kay chehray per kai rutoon kay zakhm lagay hain
Meri sham udaas khari hai
Meray ufaq pe sooraj lahoolahan para hai
Darwazon say mera aik aik raaz afsha hai
Meray sehen main dushmanon ki sazish ruqsaan hai
Suna hai ab is haal main

Mujh ko chor ke tum janay walay ho
Meray bahir beth ker
Mei yaad ka ghum khanay walay ho
Tum say aur umeed bhi kia thi
Tum bhi zamanay walay ho
Jub tuk ishq say ishq nahin milta
Tunha dukh sehna hai
Ghar ki fikr to us ko ho gi
Jis ko ghar main rehna hai

Sunday, December 9, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: