twitter

Tumhain kaisay bata'ein hum
Mohabbat aur kahani mein
Koi rishta nahi hota
Kahani mein to hum wapis bhi aatay hain
Mohabbat mein palatnay ka koi rasta nahi hota

Zara socho!
Kahin dil mein kharashain dalti yadon ke saffaki
Kahin daman say lipti hai kisi bhooli hui
Sa'at ki nam naaki
Kahin aankhon ke khamon mein
Charagh e khawb gul karne ki sazish ko
Hawa daiti hoi raaton ke chalaki

Magar banda e khaki
Na janay kitnay firaunon say uljhi hai
Mairay lehjay ke bay baaki

Mujhay daikho!
Mairay chehray pay kitnay mausmon ki gard
Aur is gard ki teh mein
Samay ki dhoop mein rakha ik aaina
Aur aainay mein ta-had-e-nazar phailay
Mohabbat kay sitaray aks ban kar jhilmilatay hain
Nai dunyaon ka rasta batatay hain

Isi manzar mein aainay say ulji kuch lakeerain hain
Lakeeroon mein khanai hai

Kahani aur mohabbat mein azal say jung jari hai
Mohabbat mein aik aisa mor aata hai
Jahan aa ker khanai haar jaati hai
Kahani mein to kuch kirdar hum khud farz kartay hain
Mohabbat mein koi kirdaar bhi farzi nahi hota
Khani ko kai kirdar
Mil jul kar kaheen agay chalatay hain
Mohabbat apnay kirdaron ko khud aagay barhati hai
Kahani mein kai kirdaar
Zinda hi nahi rehtay
Mohabbat apnay kirdaron ko marnay hi nahi daiti
Kahani kay safar mein
Manzaron ki dhool urti hai
Mohabbat ke musafat rahgeeron ko bikharnay hi nahi daiti

Mohabbat aik shajr hai
Aur shajar ko iss say kya matlab
Kay uss kay saye mein
Jo bhi thaka hara musafar aa kay baitha hai
Ab us ke nasal kaya hai, rung kaisa hai
Kahaan say aya hai
Kis samt jana hai
Shajr ka kaam to bus chaoon daina
Dhoop sehna hai
Usay is say gharz kya hai
Parao dalnay walon mein kis nay
Chaon ki taqseem ka jhagra uthaya hai
Kahan kis ehd ko toora, Kahan wada nibhaya hai

Magar hum jantay hain
Chaon jab taqseem ho jaye
To jalti dhop kay naizay
Rag o pay mein utartay hain
Aur iss kay zakhm khoorda log
Jeetay hain na martay hain!!

Saleem Kauser
Friday, December 21, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: