twitter

Meray Khudaaya mein zindagee kay
Azaab likhoo'n ke khwaab likhoo'n
Yeh mera chehra, yeh meri aankhei'n
Bujhey howey sey chiraagh jaisey
Joo phhir sey jalney kay muntazir hou'n
Woh chaand chehra , Sitaaraa aankhei'n
Woh meherbaa'b saaya-daar zulfei'n
Jinhoun ney paimaa'n kiyey thay mujh sey
Rafaaqatoun kay , Muhabbatoun kay
Kahaa thaa mujh sey ke Aey musaafir
Rah-e-wafaa kay
Jahaan bhi jaaey gaa
Ham bhi aain gey saath teray
Banei'n gey raatoun mein chaandni
Ham to din mein saaey bikhair dain gey
Jo phhir sey jalney kay muntazir hou'n
Woh chaand chehra , Sitaaraa aankhei'n
Woh apney paimaa'n rafaaqatoun kay
Muhabbatoun kay
Shikast kertay
Na jaaney ab kis ki rah-guzar kaa
Meenaar-e-roushni howey ham
Magar musaafir ko kia khabar
Woh chaand chehra to bujh gayaa
Sitaara aankhein to soo gaee hain
Woh zulfein to bey-saaya ho gaee hain
Woh roushni aur woh saaey meri ataa thay
So meri raahoun mein aaj bhi hain
Ke mein musaafir rah-e-wafaa ka
Jo phhir sey jalney kay muntazir hou'n
Woh chaand chehra , Sitaaraa aankhei'n
Hazaar zulfoun ka ik sailaab-e-tund lay ker
Meri ta'aqqub mein aa rahey hain
Her ek chehra hai chaand chehraa
Hain saari aankhein sitaara aankhein
Taamaam hain meherbaa'b saaya-daar zulfain
Mein kis ko chaahoon'n mein kis ko choomoon
Mein kis kay saaey mein baothh jaaoun
Bachoo'n keh toofaan mein doob jaaoun
Ke meraa chehra na meri aankhein
Meray Khudaya
Mein zindagee kay azaab likhhon ke khwaab likhoon

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: