twitter

Agar kabhi meri yaad aaye
Tau chaand raaton ki dil geer roshni main
Kisi sitaarey ko dekh lena
Agar voh Nakhl-e-Falak se urr kar tumhaarey qadmon main aagirey
Tau yeh jaan le na
Voh ista'ara tha merey dil ka
Agar na aaye?
Magar yeh mumkin hi kis tarah hai k kisi per nigaah daalo
Tau uski deewar e jaan na tootey
Voh apni hasti na bhool jaaye!!!
Agar kabhi meri yaad aaye
Gureiz karti hava ki lehron pey haath rakhna
Main khushbu'on main tumhein miloon ga
Mujhey gulaabon ki pattiyon main talaash karna
Main Oas qatra k i-non main tumhein miloon ga
Agar sitaaron main, Oas khushbu-on main
Nah paao mujhko
Tau apney qadmon main dekh lena
Main gird hoti masafaton main tumhein miloon ga
Kahin pe roshan chiraagh dekho tau jaan lena
Keh har patangey k saath main bhi sulag chuka hun
Tum apney haathon se in patangon ki khaak darya main daal dena
Main khaak ban kar samander main safar karoon ga
Kisi na dekhey huwe jazirey pe rukk kar tumhein sadaayen doon ga
Samandaron k safar pe niklo
Tau is jazirey pe kabhi utarna...!!!

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: